Blogging Me Fail Kyu Hote hai New Bloggers - Why I am Failed - 2016 Reasons

Blogging-Me-Fail-Kyu-Hote-hai-New-Bloggers-Why-I-am-Failed-2016-Reasons

Blogging ek Long Term Inventment Business hai Blogging sikhna to Bahut easy hai lekin blogging karna bahut hard hai bahut se aise log hai jo ki Blogger par blog bnakar ya Worldpress par blog bnakar blogging start to karte hai lekin sirf kuch samay ke liye hi, Blogger par Blog bnakr hm post daal sakte hai aasani se Blog ko design kar sakte hai lekin  jab traffic increase karne ki baat aati hai to blogging chodne ka mn karta hai kyonki traffic hi ek sabse bada karn hai or sabse hard work hai.

Aapne bahut si Websites ya Blog par ye Pdha hoga ki

Blog ki traffic 30 dino me 10,000 kaise karen
Ya
Blogging se 1 month me 50,000 kaise kmayen

Lekin Ye sab bakwaas baten hai Agar aisa hota to main sab kuch chod kar Sirf Blogging hi karta agar aapko blogging se paise kmane hai to aapko mehnat to karni hogi wo bhi bohot samay tak tab jakar aap acche paise kama sakte ho lekin Esme bhi aapko traffic ki jarurat hoti hai kyonki internet par aap traffic ke bina kuch nahi kar sakte hai.

Blogging karne Me New Bloggers Fail Kyu Hote Hai 


Aksr log Blogging karna start to karte hai lekin kuch din baad jab unhe traffic nahi milti Pageview nahi milte adsense Approve nahi hota Earning nahi hoti Sirf invest hi invest karte hai to wo dar ke bare blogging hi chod dete hai mene bhi 2 Year tak sirf investment hi kiya tha Problams to bohot aati hai lekin unhe solve karna padta hai manag karna hota hai jaise ki mene kiya hai Apni problam sabko badi lagti hai. Aaj me aapko un Topics ke bare me Btaunga jiske karn log blogging nahi kar pate hai or bich me hi chod dete hai.

Top 10 Reasons Jinke karn Aap Successfful Blogger Nahi Ban Pate 


1.Wait Nahi kar Pate 

Bahut se New Bloggers ki yahi sabse Badi galti hoti hai ki wo wait nahi karte hai Blog Bnane ke baad Sirf Earning ka sochte rahte hai ki Earning kab Start hogi

Blog par traffic sabse important hoti hai lekin acchi Traffic bhi tabhi aati hai jab aapke blog par acchi post ya badiya article ho Par day new article publish karna bhi Blogger hota hai

Daily Post likhne ke Normal Fayde 

1.Aapke Blog ki rank High hoti hai
2.Google aapke Blog ke Search result me jaldi index karta hai ya show karta hai
3.Daily Post karna Aapke Blog ke Legel hone ka Proof hota hai
4.Daily post karne se Visiter daily kuch naya sikhte hai or aapke blog ko daily view karte hai jisse aapko acchi traffic bhi milti rahti hai
5.Daily post karne se Internet par aapki value or high hoti hai aapki baat ki value hoti hai

2.Sharing Nahi karna 

Blog bnane ke baad Or Article Publish karne ke baad 3 no. kaam hota hai sharing karna Agar aap sirf blog par article likhkar publish karte hai to sirf etni mehnat se traffic nahi milti acchi traffic milti hai share karne par agar aap apne article ko social media - Facebook, Whats app, Twitter, Google+ Etc par share karte hai tbhi aapko high traffic milti hai

Sharing kaise karen 

1.Facebook Page par Link Share karen 2.Facebook Group me share karen
3.Timeline Me share karen
4.You tube Par video Upload kar sakte hai
5.Whats app Contect ke sath share karen
6.Whats app Group me Share karen
7.Twitter par share karen

Etna Karna par Minimum aapko ek article par 1000 traffic to mil hi jayega lekin depend karta hai ki kon aapki link par click karke Aapke article ko Read karta hai sath hi depend karta hai ki aapki baat ki kitni value hai

3.KeyWord ka Use nahi karna 

Ye sabse bada karn hai traffic na aane aane ka Agar aap Apne blog par keyword ka use nahi karte hai to Google aapke article ko jaldi search result me show nahi karta hai

Aap jis topic par article likhe ussi par focus karen maan lijiye aapne Blogging par article likha to article me Blogging ek keyword hai aap apne keyword ko Article ke first peragraph or last peragraph me jyada use karen esse google hmare article ko aasani se pahchan leta hai or Search result me jaldi show karta hai

4.Visiters Ke Comments ka Answer Time se na De pana 

Commenting hmare blog ke liye kitna jaruri hai ye mene aapko piche ki post me btaya tha Blog par Traffic aana bhi commenting ek reason agar koi bhi google me Kuch question search karta hai to google blog ke comments se un questions ko match karta hai or hmara article show karta hai esse bhi hame traffic ka fayda hota hai

Agar aap visiter ke comment ka answer samay par nahi dete hai to visiter aapki site ko active na maankar usse next time open nahi karta hai or wo unhi blog par comments karta hai jin par usse samay par answer mile essi karn aapka Blog ek Proffessional blog nahi bn pata hai

5. Sirf Earning Ke bare Sochna 

First baat ye ki jyadatar log Blogging start hi paise ke liye karte hai lekin aap meri ek baat jarur yaad rakhen

Agar aap Mehnat ke piche bhagoge to Paisa Aapke piche jhak marke aayega

Pahle jab mene Apna Blog Start kiya tha to main sirf traffic lane ki sochta tha Article sirf 30 or traffic mujhe 5000 chahiye tha Pahle mene bhi socha ki Mujhe blogging chod deni chahiye lekin jab mene Article likhne start kiye or Par day New Article likhta to traffic apne aap aane lagi comments bhi aane lage.

Bohot km Log hote hai jo ki blogging start karte hai or successfull bhi hote hai or Acche paise bhi kmate hai
Or bohot sare log hote hai jo blogging karna start to karte hai lekin kuch din baad fir se chod dete hai

Mene aapko es post me Blogging me Fail or Successfull na hone ke kai reasons btaye ummid karta hu ki aapko Psand aaye honge Main aage bhi aapke sath aise kai article Share karunga Blogging se Related jinse aap bahut kuch sikhne ko milega Thanks For Read My Article 


2 comments

this is the true reason , why bloggers can FAIL !!!!

Balas

Wow that's useful post. I start improving my blogging skill. thanks for the article.

Balas