MOBILE KO HANG HONE SE ROKNE KE LIYE 1O KILLER TIPS


HI DOSTO

Mera naam Sumit Bhati h aapke liye 1 best news h  aajkal mobile hang hone ki problem sabhi logo ko hoti h jab bhi hm koi new mobile lene ki sochte h to sabse pahle ye dekhte h ki wo hang to nai hota ,aapka mobile hang na ho isliye mene es post me kuch tips diye h I hope ki wo aapko pasand aaye aajkal jyadatar log android mobile hi use me lete h or uski sabse badi yahi problem hoti h mobile hang hone ki

MOBILE KO HANG NA HONE DEN.... TIPS


Tip 1.sabse pahle to aapke mobile me jitne bhi  anti virus ke app h usko uninstall karde kyonki jyada mobile inhi se hang hote h or kai mobile to mene in tips se hi thik kiye h

Tip 2.ab aapke mobile me jitne bhi app h jinko aap use me nai lete yak am kaam aate h unko bhi sath me uninstall kar de kyonki ye app dhire dhire aapki mobile ki storage ka + 
karte jate h or aapko pata bhi nai chlta ki aapka mobile kyo hang ho raha h

Tip 3.kuch aise app h jinko hm apne mobile me install karke rakhna chahte h isliye unhe setting me jaker force stop kar de kyonki isse aapka mobile data bhi bina mtlb khrach hota h

Tip 4.or kuch apps ke data clear karte raho taki aapki storage bhi jyada n ho

Tip 5.agar aapne new mobile liya h to usme lagatar app install na Karen kyonki isse bhi mobile ki speed kam hoti h or wo kuch din baad apne aap hang hone lagta h

Tip 6.jyada tar log apne saree apps ko mobile storage me install karke rakhte h to isse RAM par bhi asar padta h isliye un sab app ko aap memory card me transfer kar le
Tip 7.jab tak ho sake apne internal space ko clear rakhe , or memory card me bhi space rakhe kyonki kuch app aise bhi hote h jinke data par day + hote h jaise ki games whats app……..

Tip 8.agar aap internet use me lete h to mobile data on karne ke kuch der baad use use me le kyonki data on karte hi aapke mobile me notification aate h jaise ki whats app, hike, facebook inhe pahle pura aane de nahi to us time bhi aapka mobile hang hoga  

Tip 9.baar baar apne mobile ko pc me connect karke scen karte rahe kyonki kuch virus to pc se hi nikal jate h

Tip 10.agar aap high level ke browser use me lete h jaise ki google crome ,firefox  etc to unki history or data clear karte rahe kyonki isse bhi mobile jyada hang hota h

MOBILE  KO  MONTH  ME  1  BAAR  JARUR  RESTOR  KAR  LE  TAKI  WO  REFRESH  HO  JAYE  OR  JYADA  HANG  NA  HO

Ye to normal tips h aage bhi me aapko esse acchi achhi tips dunga agar aapko ye pasand aaye to comment jarur Karen
thanks