Search Engine Kaise Bnaye Website Ke Liye - Make a Free Search Engine


Jab hm Google Search Engine ko dekhte hai to hame bhi lagta hai ki hame bhi apni website ke liye Search Engine bnana chahiye Pahle me bhi ye sochta tha ki Search Engine bnana kitna HardWork hai Lekin jab sikh liya to Sab aasan lagne laga aap bhi Apni Website ke liye Search Engine bna Sakte hai Wo bhi Free lekin Search Engine bnane ke pahle hm kuch Normal points ke bare me jaan lete hai jaise ki –

Search Engine kya hai

Search Engine ek aisa Engine hai jo ki hmare dwara Search kiye gaye keyword par hame Results Deta hai Jaise ki Google Search Engine,Yahoo Search Engine, Bing etc. Jab hm Google Search engine me kuch likhte hai to wo hame usse Related keyword ki website ko show karta hai jaise ki aapne Google Search me likha Rkb Business to wo meri site ki Post ko Aapke samne show karega sabhi search engine ek jaise hote hai bs unka Design alag alag hota hai

Search Engine Website ke liye kyu jaruri hai

Search Engine hmari website ke liye isliye jaruri hai kyonki jab koi visiter hmari website par aata hai to wo aasani se usme keyword search karke Results le sakta hai esme visiter ka fayda ye hai ki unhe all post dekhne ki jarurat nahi hoti hai

Search Engine 2 Trike se bna sakte hai

1.Google Custom Search Engine (CSE) ki help Se
CSE Google Custom Search Engine Google ki ek Free service hai jiski help se hm website ke liye Search Engine bna sakte hai lekin Esme Problam ye hai ki Esme sath me Google ka naam bhi aata hai jisse ye pata chalta hai ki ye google ki help se bnaya hai gaya hai aaj es post me hm Google ki help ya google ki free servise se hi Search engine bnayenge

2.Coding se
Agar aapko Coding aati hai to aap aasani se website ke liye Search Engine bna sakte hai main aage eske bare me bhi Post Publish karunga ki coding se Search Engine kaise bnate hai
Website Ke liye Search Engine kaise bnayen Free

Sabse pahle aap Google ki site CSE par jaye Google me type Karen Google Custom Search Engine or esse open Karen jaisa ki Pic me dikhaya gaya hai


Uske baad aapko Create A Custom Search Engine Par click karna hai (Apni Gmail id Se log in rahen )
Agar aap pahle se Gmail id se log in hai to aapko Dalne ki jarurat nahi Varna Aapko apni Gmail id se Log in karna hai

Create A Custom Search Engine par click karne ke baad aapke samne Ek form open hoga jisko aapko fill karna hai

Kaise Fill Karen Form ko


1.Sabse pahle aapko text box me un websites ka naam likhna hai jiski Posts ko aap Search me lana chahte hai jaise ki mene apni websites ka naam likha hai jab bhi search Engine me kuch words search karunga to usme sirf ussi site ki posts aayegi jo ki mene yahan Text box me daali hai isme aap kitni bhi sites ke naam daal sakte hai

2.Uske baad Language English hi rahne de ya aap Select bhi kar sakte hai

3.Apne Search Engine ka naam likhe jo bhi aap Rakhna Chahte hai

4.Last Me Create button par click kar den


Congratulation! Friends aapka Search Engine bnkr Ready hai ab aapko Get Code par click karna hai


Or es Code ko Copy karke Website website par ya Page bnakr Us par laga sakte hai


To Doston Aapko meri Ye Post kaisi lagi Ab to aapko lagta hai na ki Search engine bnana kitna aasan hai aage bhi me aapke sath Search Engine se related post share karunga Agar aapko meri Post psand aaye to esse jarur Share Karen Duniya me koi bhi aisi Chij nahi hai jo hm nahi sikh sakte hai jarurat hai to sirf mehnat ki or Wait karne ki agar aapko kuch bhi sikhna hai to aap mujhe kah sakte hai main uski posat bnakr Publish kar dunga jo lekin btayen jarur kyonki btaye bina mujhe pata kaise chlega….

So friends Enjoy Your Life   


1 comments:

Thanks a lot for the lovely article. I really appreciate the hard work you put in it.

Balas