Popular Post Widget kya Hai or Popular Post Widget Blog Par Kaise Lgayen


Hi friends aaj es article me hm ye janenge ki Popular post Widget kya hota hai or hm Popular post widget kaise apne Blog par laga sakte hai ye article sabse most or important esliye hai kyonki jyadatr blog par aap ye to padhte hai ki blog par popular post widget kaise lgayen ya top 10 Stylish Popular post widget lekin sab article me ye nahi hota hai ki popular post widget h kya or esme post kaise automatic aati hai to aaj es article me hm yahi janenge
So Friends Let’ Start ..

Popular Post Widget Kya hai

Popular Post widget ek gadget hai jo ki hmari sabse jyada view wale article ko show karta hai , Aapko ye to pata hoga hi ki popular ka kya mtlb hai jo ki sabse best ho ya jisko sabhi logon ne psand kiya ho usse popular kahte hai ussi trah hmare blog par bhi kuch posts aisi hoti hai jinhe visiters bahut psand karte hai ya us post par sabse jyada view hote hai wo automatic popular ho jati hai  

Example – jaise ki mene apne blog par popular post widget lgaya hai to esme sirf wahi post visiters ko dikhti hai jis par sabse jyada view hote hai jaise ki meri website par mene Facebook Hacking ki post lgai hai or us par sabse jyada traffic aata hai sabse jyada view h us pr to jab bhi me apni website par widget lgata hu to usme hacking wali post sabse upar aati hai kyonki us par sabse jyada view hai isliye uske baad usse km jis 
post par view hai wo post aa jati hai

Popular Post Widget kyo lgate hai blog par

Popular Post widget hm Blog par isliye lgate hai taki jab koi bhi visiter hmari website par aaye to usse ye pata chal sake ki all post me sabse jyada view wali post konsi hai Ya kis post ko logon ne sabse jyada psand kiya hai

Popular Post widget Blog par kaise lgaye – hindi me jane

Popular Post widget lgane ke 2 trike hai
1.Jo blogger template ke sath hai
2.kahi se bhi download karke

Pahle jab blogger.com nahi tha tab log apne aap coading se hi widget bnate the lekin aajkal etni mehnat karne ki jarurat nahi hoti hai kyonki aajkal blogger internet se hi widget code download kar lete hai



Ye sabse easy trika h Layout me jaye jahan aapko Popular Post widget lgana hai Add a Gadget par click Karen jo window open hogi usme Popular post widget diya hoga aap usse add kar sakte hai


Agar aapko ye Post psand aaye to mene niche Whats Share button bhi diya hai es article ko Whats par Share jarur Karen ….