Like Button Widget Kaise Lgayen Blog or Post Par - LIke Button Code 2016


Hi friends Feedback hmare liye kitna important hai ye to aapko pata hi hai feedback kisi bhi chij ka ho sakta hai lekin abhi hm internet or blogging se related topic  par hai to hm essi topic  par feedback ke bare me janenge

Example ke liye maan lijiye ki aapne koi blog ya website bnai hai or aap us par daily kuch na kuch upload karte hai agar readers sirf usko padhte hai to usse sirf reading kah sakte hai lekin agar visiters us post ya article par comment karte h ya thanks, very nice etc  ya us post ko like karte hai to wo aapko uska feedback milta hai ki kitne logon ne usse psand kiya ya us par comment kiya essi ko feedback kahte hai

Feedback ke liye hm apni post ya article par comment karne ko bolte hai ya feedback ke liye hm alag se page bhi bnate hai like button bhi lgate hai isiliye es article me bhi aaj hm like button ke topic par hi baat karenge ki kaise hm apni post ke niche like button lagakr feedback paa sakte hai

Like Button Widget / Gadget kya hai


Ye ek chota button hai jo ki mene javascript language se bnaya hai Aisa Widget / gadget aapko kisi or website par nahi milega kyonki ye Widget mene khud bnaya hai agar aap kisi or website se bhi esse download karte hai to aapko uske sath us site ka Copyright bhi milega ya uska naam bhi uske code ke sath hoga lekin mene es widget me koi bhi Backlink ya Copyright ki link nahi add ki hai aap esse aasani se estemaal kar sakte hai

Like Button kis trah kaam karta hai

Ye ek simple Like button hai jisko aapko apni post ya article ke niche lgana hai jab bhi koi es par click krega es button me numbrik ka option hai jitne click honge utne likes esme dikhte rahenge
Alert
Es code ko ek baar lgane ke baad agar es par likes aate hai or agar aap esse remove karte hai to sare likes delete ho jayenge isliye ek baar lgane ke baad esme kuch bhi edit na Karen

Like Button ko Blog par kaise lgayen

Sabse pahle Layout me jayen Add a gadget par click Karen Html / javascript select karne or niche diye Code ko Paste kar de es code aapko meri site ke naam ko Delete karke apni Website ke naam ko likhna hai or kuch bhi edit nahi karna hai nahi to Code Work nahi karega

Like Button ko Post ya Article me Kaise lgayen

Aapko jis post par like button lgana hai usse open Karen or Html select Karen or niche hi niche paste kar den es code me Data identifier naam likha hai uske samne mera naam diya hai uske delete karna h or aap jis post ke niche like button laga rahen hai uska title yahan paste karna hai


Etna karne ke baad aapki post par like button show hone lgega jab bhi koi es par click Karega aapki post like ho jayegi   aap es button ko jis post par lgate hai uska title data identifier ke samne jarur likh den agar title same huwa to code par same like dikhaai denge


I hope ki aapko meri post psand aayi hogi kyonki ye sabse uniQ post thi aap esse share bhi jarur Karen mene abhi tak apni website par like button isliye nahi lgaya hai kyonki me jaldi hi apni website ko wordpress par shift karne wala hu isliye like phir se 0 ho jayenge lekin aap esse apne blog par jarur lgayen and Thanks for read my Article