Domain Kya h Or Domain Name Kaise Search Karen

domain-rajistration-kaise

Hi friends aaj hmara topic hai Domain es tutorial me aaj hm ye janenge ki Domain name kya hota h or domain name ko kaise Search Karen agar aap new blogger hai ya blogging start kare ki soch rahe hai to ye post / article aapke liye sabse important h kyonki koi bhi website ya blog bnane se pahle ek accha  domain name rajister karna bahut hi jaruri hai or aaj es article me hm yahi janenge ….
Introduction

Domain kya hai

Jab hm kahi bahar jate h to hame kisi street address ki jarurat hoti h ki hame kaha jana hai or jab hme pta hota hai to hm aasani se wahan pahunch sakte hai ussi trah hmara Domain hota hai jo ki hmari website ki pahchan hoti hai ya kaha jaye to hmara naam hi…..

Sabse pahle aapki pahchan aapke naam se hoti hai ki aap kon ho ya agar koi aapke bare me puchta hai to naam hi hota hai jiske karn log aapko jaante hai ussi trah domain name hai domain ek trah se aapki website ka naam hai jiske karn log aapki website par aate hai mene pahle bhi apni website pa article se btaya h ki ek accha domain name kaise choose Karen

Domain Name kaise  Select Karen

Sabse pahle to aap apni website ka naam yani ki domain name deside karo ki aapko apni website ke liye konsa domain rakhna hai wo bhi apni website se related jaise ki meri website blogging, internet tricks, Hacking, Business , En sab par hai to mene apni website ka naam rakha Rkbbusiness.com ussi trah jaise ki aap apni website par tricks ya hacking sikhne wale h to aap apni website ka naam MyHacking.com ya Yeshacking.com something kuch bhi rakh sakte hai jo aapko accha lag or naam apni website se related hi rakhen taki jab usse relatd koi google me search kare to usme aapki site bhi aaye

Naam deside karne ke baad aap usse Google me Search Karen or agar wo ya usse related koi bhi website bni hui h ya domain already rajistered h to aap usse na len or koi dusra naam sochen kyonki jo naam pahle se h ya usse related h to aapke sath uska bhi naam search me aayega isiliye jo naam nahi hota hai aap usse final kar sakte ho …

Kaise pata Karen ki Domain Already rajistered h ya nahi

Uske liye friends aap sabse pahle Godaddy.com ki website par jayen or usme aapko seach box milega usme aap wo naam daalen jo aapne final kiya tha search karne ke baad aapke samne bahut sare domain aa jayenge jo naam rajistered hoga wo nahi aaye or jo bhi naam aate hai unke samne unki prize bhi likhi hoti hai

Jahan tak ho Domain .com ka hi len jaise ki aapki website ka naam hai 9hacking to domain hoga 9hacking.com or mera kahna ye h ki jo naam .com me rajister hai usse fir se .net ya .in me naa len jaise ki jo domain aapne select kiya wo .com me available nahi h or .net me available h to aap usse purchas na Karen …..
Friends Agar aapko meri post psand aaye to aap esse facebook whats app par jarur share Karen….