Hii visiters aaj to jaise Questions ne record hi tod diya h Whats app, Facebook, Twitter, and All social media se pahli baar mere pass 575 question aaye h jinme se 200 question to mene aise hi delete kar diye or baki waiting me h soch raha hu pahle konsa publish karu lekin es post me mene sirf 2 question ka hi ans. Diya h
Let Start
Ye Dono Question hi mujhe bahut acche lage or Effective bhi
Question:1 Sir, Meri
Website par comments bahut aate h or Kya mujhe publish karna chahiye ya
delete or Old comments ka kya karu publish ya delete ?
Asked By Vivek
Ans. Hi Vivek , mene pahli baar aisa blogger dekha h jo ki
comments se pareshan h comments hmari
site ke liye sabse jyada important hote h kyonki ye hmari post se error nikalne
ka kaam karte h agar aapki post me koi problam hogi ya aapka article accha nahi
hoga to visiter aapko comment karke bta sakte h ki kya kami h ya aap apne visiters ke sath koi bhi article
ke bare me dishqus kar sakte h survey kar sakte h
Meri website par comments
to bahut aate h lekin me 1-2 hi
publish karta hu kyonki mujhe lagta h ki meri site ka comment box accha nahi h
or me bahut jald esse update bhi karne wala hu
Mene aapki website dekhi h or usme hr 1 post me 70 se jyada
comments aaye huye h lekin kya aapko pata h ki aisa kyu h kyonki aap daily post nahi karte h or jab
aap 1 post ko 3-4 din tak homepage par rakhte h to us par comments ka stock ho
jata h kyonki jab bhi koi aapki site open karta h to wo sabse pahle wali post
par hi comment kar deta h
Isliye aap daily new article post Karen taki comments ka
stock na ho or old comments ko delete na Karen agar aapki site par comments
honge to aapki site ki rank bhi jyada hogi or kya pta old comments me hi
visiter ko apna answer mil jaye or usse naya comment karne ki jarurat na ho
Question:2 Hi Sir,
Mujhe apni website bnani h kis par bnau, Blogger ya Wordpress konsa best rahega
?
Asked
By Aashish
Ans. Hi Aashish ,Blogger or
wordpress Dono hi Best h or popular bhi Agar blogger or wordpress ko
compair kiya jaye to wordpress best
rahega kyonki wordpress me aise aise feture h jo ki aapko blogger me
nahi milenge blogger easy to h lekin usme etne fetures nahi h jitney ki
wordpressw me h
Blogger google ki service h or ye free bhi h esme aapko
hosting lene ki jarurat nahi hogi Lekin wordpress me aapko hosting leni hogi
jiska charge lagta h par month ya par year
Main aapko suggest karuga ki aap pahle blogger se start
Karen or phir wordpress ko sikhen
Ab ye aapko deside karne h ki aapko kis par website bnani h
Es bare me mene pahle bhi article post kiya h aap usse read
kar sakte
Thanks for Ask Question
Emoticon