Adsense ko Block/Ban Hone Se Kaise Bchaye Ya Safe Rakhen 100% Safe Tricks


Hi Everyone aaj es article me hm Google adsense ke bare me baat karenge,mere pass bahut se aise new visiters ya new bloggers ke Email ya Msg aate h ki sir hmara adsense 10 days pahle approve huwa tha or ab disapprove ho gaya h account open nahi ho raha h isliye mene socha ki eska Article hi publish kar du taki sabko Help ho jaye

Adsense, jo ki google ki free service h jisse ki hm unlimited mehnat karke unlimited paise kama sakte h adsense disapprove  ya ban hone ki problam jyadatr new bloggers ko hi aati h kyo aati h ye bhi jaan lete h
Jab koi bhi new blogger apni new website create karta h to wo us par adsense ko approve karta h uske ads apni website par lgata h uski website new hone ke karn traffic bhi km hoti h to wo sochta h ki meri earning kyo nahi ho rahi h or wo apne hi ads par click karta h  jab uske ads par click aate h or uski earning $ me hone lagti h to wo sochta h ki kyo na mai khud hi farji click karke paise earn kar lu ya phir wo apne friends ko click karne ke liye bolta h or friends click  bhi kar dete h or uski earning 8-10 din me hi 40-50$ ho jati h lekin kuch din baad uska account hi block ho jata h or phir wo blogging chod deta h earning na hone ke karn lekin es article me mene aapko kuch tips diye h jinse aapka adsene kabhi block nahi hoga 100% sure…

Adsense ko Block/Ban Hone Se Kaise Bchaye Ya Safe Rakhen

1.Sabse Pahle to Aap Google adsense ki terms or condition ko acche se read kar le ya aap mere dwara diye tips ko follow kar len ek hi baat h

2.Apne Ads par Farji clicks na Karen ye new bloggers ki sabse badi galti hoti h jiske karn uska adsense block ho jata h

3.Ads ka placement sahi jgah karen jaise ki ek page par 3 ads ya post me 6 unit etc…

4.Apni website par Google ki private policy ka page bnakr jarur lgaye nahi lgaya h to mera wala copy kar le or usme se meri site ka naam delete karke apni site ka naam likh den. Ek hi baat h

5.kisi Dusri site ke Article ko copy karke apni website par na lgayen
6.Website ko Simple rakhen faltu ke widget na lgaye jaise ki meri website par widget h utne hi rakhen to accha hoga

7.Kisi other website ke ads na lgaye jaise ki chitika , bidviser  agar lgana hi h to infolinks ke ads lga sakte h 

Mere hisab se etna bohot h esse aapka adsense block nahi hoga or jo baki website par aap faltu ke explanation padhte ho jisme likha hota h language support nahi karta ye na lgaye wo na lgaye ye sab faltu bateen h ense kuch nahi hota h wo admin sirf apni post ke word jyada karne ke liye explanation likhte h  


Or agar aapka adsense ban ya block ho bhi jaye to adsense ke email ka wait na Karen or kisi ke answer ka wait na Karen or ussi time dusra account create ka len 


Related Posts