Ye article syayad other article se thoda diffrent h and i sure ki es article ko pdhne ke baad aap 1 best article likh payenge or ye article kisi hindi ya english website se copy nahi h ye mere khud ke top words h
[Logon ko skills
do ya kuch aisa jisse ki log aapki site se sikhe or aage kuch kar sake or kuch
diffrent karo ]
Aap en points ko
follow karke ek best article likh sakte h
1.Title
Sabse pahle apne
article k liye 1 title choose karen
Article me sabse jaruri hota h Title, jisko padhte hi
pta chal jata h ki article kis bare me h kuch points jinse aapko best or seo
title likhne me aasani hogi
1.apne title ke
sath Top, best,popular etc en sab ka use karen
Jaise ki (top)
movie download
2.title me
numbers ka use karen jaise ki
100 best article
3.article ki Px
size ko chota rakhen
4.Bold ya italic
ka use na Karen or title me multi colours ka use na karen
2.Introduction
Article likhne se
pahle aap us article ke bare me kuch likh sakte h jaisa ki mene apni sab post
ke pahle likha h jaise ki
1.Article me kya
kya h
2.Eska use kya h
etc
3.Short paragraph
Apne article ko
chota likhe or part ya paragraph me likhe or kuch es trah ki article 500 word
ka ho or 300 word ka hi lage puri explanation 1 sath na den jab koi etni
explanation dekhta h to padhne ka mn bhi nahi karta h or visiter sochta h ki
etna bada kon padhega esliye paragraph me likhen
4.upload image
and videos
Aap apne article
ke sath article se related image and videos bhi lga sakte h image or videos se
article ka look bhi accha lagta h or visiter ko bhi padhne me aasani hoti h
Article likhne se
pahle en points ko follow Karen
1.DemanD
Es topic par to
syayad mene 1 puri post likh di lekin phir bhi me thoda explain kar deta hu
Koi bhi post
/article likhne se pahle ye jaane ki jyada demand kis chij ki h agar aP ek blogger h or agar
aap apne viewers ki demand ko jaankr post likhte h to us article par kabhi
traffic ki kami nahi aayegi or agar aapko nahi pta ki aapke visiters ki kya
demand h to aap apne facebook page ya apni website par likhkar survey kar sakte
h unhe puch sakte h ki unki kya demand h ya unhe kya sikhna h
Example
Aapke visiter ki
demand h mobile app bnana sikhna or aap unhe blogging sikha rahe h ya blogging
ke articles daal rahe h to aapki site par kbhi
traffic nahi aayegi
2.Future Work
(jisse log aage kuch kar sake)
Article kuch aisa
daalo jise padhkr log future me kuch kar sake bina mtlb ke faltu articles na
daale or kuch accha likhen
Ye mene kuch
points btaye h or mujhe lagta h ki agar aap en topics par article likhenge to
aapki traffic bahut upar jayegi
1.Goverment Jobs
2.Programming
3.All coding
(html,css,php,js etc)
4.Money
Making(bidviser,revenuehits,chitika en sab par article na likhe)
5.Image,video
file editing
3.Copy paste word
Jab se mene
blogging start ki h tab se dekh raha hu sab ke sab copy paste karte h kisi bhi
dusri site se padha or ussi ko apni par lga diya lekin esse kuch fayda nahi hota friends
Logon ko skills
do ya kuch aisa jisse ki log aapki site se sikhe or aage kuch kar sake or kuch
diffrent karo
Ye sabse jaruri
1.Add some links
Apne articles ke
bich me 2-3 old ya popular ya post se related article ki links jarur den taki
visiter ko bhi help ho or aapki article
par view bhi jyada aaye
2.Diffrend
article
Kisi ka copy na
karen or diffrent article likhe mtlb kuch alag likhnen naya look add karen or
wahi likhen jo aapne try kiya h
3.Dont other
design
Jab bhi article
likhe words ko jyada design ya colour full ya italic karke na likhen kyonki en
sab se article ka look accha nahi dikhta or visiters ko bhi padhne me problams
hoti h
4.Hard work
article
Apne article ko
sirf simple trike se na likhen ya sirf 300 words me hi likhkar pura na karen
apne article me minimum 300
Or maximum 1500
word ho sakte h mene bahut se aise new bloggers ko dekha h jo article ko bina
mtlb hi 2500 word tk likh dete h lekin
uska koi fayda nahi hota h
Kyonki jab koi
visiter hmari site par aata h or post open karta h to etna sara explanation
dekhkar wo pahle hi back kar leta h isliye faltu ka explanation na den
Or kuch aisa
likhe jisme ki 3000 word ki post visiter 300 word me hi samjh jaye
5. Put some ads
Agar
advertisement ki baat karen to apne article par kbhi bhi pop up ads na lgaye
kyonki esse website ka look bhi khrab hota h or visiters ko bhi problam hoti h
Agar aapko pop up
ads lgana hi h to usse sirf computer template
me hi show karen mobile me nahi
Or apne article
ke bich sirf 3 ads hi lgaye kyonki kabhi kabhi article to sirf 300 word ka or
usme ads 5-6 to uska look bhi khrab hota h or viewers ko bhi problam hoti h