Hello Blogger, Aaj Ye Article Featured Post ke bare me h ki
Featured Post kya hoti h ya Featured post kisse kahte h ,Featured Post ek trah
se hmari Wesite ki Traffic bdhane ya increase karne ke kaam aati h
Blogger Featured Post ?
Featured Post blogger blog ke liye ek gadget hota h eski
help se hm apne blog ya website par kisi bhi Post ko alag se show kar sakte h dikha
sakte h or Esse hmari traffic increase hone ka bhi chanses rahte h
Fetured Post kyo Lagani chahiye ?
Featured post hm es liye lgate h kyonki jab hm daily post
karte h hmari website par to pahle ki , ki gai post piche chali jati h ya dusre
page par dikhti h isliye hm kisi bhi post ko alag sidebar me show kar sakte h
ya dikha sakte h
Featured post lgane ke 2 reasons ho sakte h ya konsi post
lgani chahiye
1.Jis post par view sabse kam ho
2.Jis post par view sabse jyada ho
Explain
1.Jis post par view sabse kam ho
Kuch post aisi hoti h jis pa hm mehnat to bahut karte h
lekin us par etni traffic nahi aati h jitni ki hm sochte h ya kuch post aisi
bhi hoti h jo ki daily post karne par homepage se dusre page par show hone
lagti h isliye us par traffic increase karne bdhane ke liye hm usse alag se
show kar sakte h
2.Jis post par view sabse jyada ho
Kuch post aisi hoti h jis par bahut jyada traffic hoti h mtlb
ki us post ko visiters jyada psand karte h isliye bhi hm usse sidebar me laga
sakte h jaise ki meri website par sabse jyada traffic Facebook Hacking ki post
par h isliye mene usse sidebar me lgaya h taki us par or jyada traffic aa sake or
mujhe paise kmane se jyada traffic acchi lagti h
Fetured Post widget Website ya Blog par kaise add Karen
Sabse pahle Blogger ke dashboard me jaye or phir Layout me
ab aapko jahan bhi ye gadget add karna h wahan Add a gadget par click Karen or
ab Featurd post ko Select Karen
Ab Aapke samne ek window open hogi usme aapko Set karna h ki
post kaisi hogi ya Featured post kaise dikhai degi
1.Jo bhi post aapko sidebar me show karni h wo select Karen
2.Agar aapko title likhna h to aa pes text box me likh kar
show kar sakte h
3.Post ka title show karna h to kar sakte ho
4.Post ka description show kar sakte ho
5.Post me Image show karni h ya nahi wo set kar sakte ho
Ye sab Set karne ke baad last me Svae kar de.Ab aapki
featured post aapki website par show hone lgegi
I sure ki agar aap apni website ya blog par featured Post
Gadget lgate h to aapko eska bahut fayda milega hm sirf 1 hi featured post laga
sakte h ek se jyada nahi laga sakte h main aapko suggest karunga ki aap sidebar
me jarur featured post lgaye or esse aapki traffic bhi increase hogi agar aapko
apni earning increase karni h to aap ads ko featured post ke sath show Karen kyonki
aajkal Google adsnese ne featured ads bhi show karna suru kar diya h agar aap
esse eske sath show karenge to 100% aapko ads par clicks bhi milenge or aapki
income bhi jyada hogi isliye sidebar me featured post jarur lgaye esse template
ka look bhi accha aata h
Agar aapko meri post psand aaye to aap esse social media par
jarur share Karen ,Thanks
1 comments:
Very JhKaaS.....Post Dear
Emoticon