Hi friends post ko read karne se pahle mai aapko btana chahta hu ki mene apni website k liye whats app Group bhi bna liya h to agar aap usme add hona chahte h to aap mujhe whats app par contect [8302222573] bhi kar sakte h Group ke kuch ruls h jinhe aapko follow karna hoga
Ye post blogging se related h aajkal blogging karne ka fation kuch jyada hi chal raha h or jisse bhi dekho sabhi jgah blog hi blog or sabhi ek dusre ki copy karte rahte h apne words koi nahi likhta or agar hindi blogger h to wo kisi English blog se copy karke usse translate karke likh deta h pahle kuch karte nahi or phir unhe 200 300 traffic par hi 10$ chahiye mere pass par day bahut sare msg aate h ki sir mene 2 month pahle blogging start ki thi or meri traffic bhi acchi h 200 par day to bhi earning kyo nahi hoti lekin aapko pata hoga ki sirf 200 pageview se kuch nahi hota h jo bhi top bloggers hote h unke website par 10 min. ke 200 pageview hote h to aap to unse compare bhi nahi ho sakte h isliye mene es post me blogging start karne se pahle kuch tips btaye h agar aap unko follow karte h to I sure ki aapki blogging ka safar bahut hi accha hoga ……
Blogging Start karne se pahle Basic Tips for Best Blogging journey
Basics Language
Language mtlb hindi/English nahi Html Css Php sabse pahle main aapko suggest karunga ki aap Basics language sikh le taki aapko blogging ke safar me jyada pareshani na ho agar aapko ye language aati h to aapko kisi ko Question puchne ki jarurat nahi hogi ya kisi ke answer ka wait nai karna padega agar aapko html css php aati h to aap apni website khud design kar sakte h kisi bhi widget ke liye aapko internet par search karne ki jarurat nahi hogi aap khud apne widget bna sakte h jab hm koi bhi template internet se download karte h to uske footer me copyright diya hota h ki kisne design kiya h or agar aapko language nahi aati h to aap usse remove nahi kar sakoge meri bhi pahle yahi problam thi mujhe html css php ke basics to aate h lekin javascript nahi aati or jab mene internet se koi template download kiya to usme jo footer tha wo js me tha jo ki mujhse remove nai kiya gaya or mujhe template hi change karna pada isliye vpahle aap sabke basics ko sikh len.
Blogger Ya Wordpress
Ye sabse badi problam hoti h blogging me new bloggers sabse pahle blogger par apna blog bna lete h or jab wo blogger ko acchi trah se sikh lete h to phir wo apne blog ko wordpress par shift karne ki sochte h lekin uske baad unhe problams bhi aati h jab hm apne blog ko blogger se wordpress par shift karte h to sirf post or comments hi hote h widget nahi ya template nahi isliye blogger par ki gai hmari mehnat bekar chli jati h visiters ko problams aati h ya hame hosting bhi leni padti h ye sab problams aati h isliye mai aapko pahle bta du ki aap ya to blogger par hi blog bnaye ya phir suruwat hi wordpress se Karen
Domain Name
Jo ki sabse jyada important h blog ya website ke liye meri website ka domain kuch logon ko psand nahi h isliye bahut sare log esse change karne ki bolte h or baar baar ye sunne ke baad mujhe bhi aisa lagta h ki change kar hi lena chahiye
New bloggers ye bhi galti karte h ki baar baar domain change karte rahte h kabhi konsa kabhi konsa isliye ek hi baar me apna domain choose kar le ki kaisa domain add karna h or kisi bhi domain ki copy na Karen jaise ki sab log karte h maan lo koi website h freehelp.com to new blogger kya karta h ki uski copy karta h or apni website ka naam bhi freehelp2.com rakh leta h isliye ye sab na Karen esse traffic 0 bhi ho jati h isliye ek hi domain choose Karen or wahi rakhen
Article
Mai aapko suggest karunga ki aap blogging start karne se pahle 50 article minimum stock karke rakhen mtlb pahle hi taiyaar rakhen likhe huye taki aapko baad me koi problam aaye to aap un articles ko publish kar sako kuch blogger yahi galti karta h ki daily post publish nahi karta or uski website par traffic nahi aati h kuch normal problams ke karn hm daily post nahi kar sakte h isliye wo article hmari problams me kaam sake or kisi ki copy na Karen apne article apne trike se likhen
Sharing /Stock public
New bloggers yahi sochte h ki hm jab blogging start karenge to uske sath hi blog ki publicity start ka denge lekin esse aapko bahut time lgega apne blog / website ki publicity me isliye me aapko suggest karunga ki aap pahle hi social media se connect rahe taki aap jo bhi publish kare aapki site ko traffic mil sake pahle hi page bna len ya jo bhi aapko groups bnane h pahle hi create kar len taki baad me jyada kaam ka stock na ho or apne articles ko full share Karen social media par
Kuch chije aisi hoti h jinse baar baar change na Karen jaise ki domain,template, en sab ko baar baar change na Karen kyonki ense hmari traffic par bahut jyada asar padta h
1 comments:
Thanks for shring
Emoticon