BLOG KO DELETE YA UNDELETE KAISE KARTE H


Hi dosto

Jaisa ki aapne es website se bahut kuch sikha h blog ko create karna usse paise kmana internet se related or bhi bahut kuch blog to bna liya or template bhi upload kar diya or apni pahli post bhi kar di bahut sari post bhi update kar di lekin phir bhi hame na koi visiter mile na koi jyada view aaye blog par or na koi hmari income hui to hm blogging band kar dete h isliye hm blog ko delete karne ki sochte h isliye ye post mene blog ko delete undelete karne ki lagai h

Blog ko delete karne se pahle aap uske profit jarur jaan le kya pata uske baad aap delete na karen or blogging na karne  ke reasons bhi jaan le kyonki mujhe lagta h ki aap wo post padhne ke baad apna blog delete nai karenge 

Blog ko delete undelete kaise karen

Step follow karen


Step 1.blogger.com par jaye Apne gmail se sign in karen or ab dashboard me jaye 

Dashboard me left side me menu diya huwa h usme sabse niche setting h usme jana h 

Step 2.jo blog aapko delete karna h uski setting par click karen

Step 3.ab usme niche or bhi option aaye h unme se other par click karen 

Ab page ki right side me upar delete blog ki link h us par click karen 
Ab aapke samne 1 popup window open hogi


1.agar aap apne blog ki sabhi post ko save karke rakhna chahte h to download blog par click karen or download karke save karle Isse agar aapko kabhi bhi apna blog chahiye to aap isse wapas upload kar sakte h 

2.blog ko delete karne ke liye delete this blog par click karen
Ab aapka blog delete ho jayega agar aapko esse wapas restore karna chahte h to ye step follow karen 

Delete blog ko restore kaise karen

Agar aap apne blog ko waps retore karna chahte h to 3 month me kar sakte h uske baad wo parmanent delete ho jata h

Blog ko restore karne ke liye wapas apne home page par jaye waha 1 deleted blogs ki link aa rahi h us par click karen aap jis blog ko restore karna chahte h uske samne undelete likha h us par click kar de ......
To aapka blog wapis restore ho jayega ab aap usme post kar sakte h 
Happ blogging 


Related Posts