Android blogger App easy blogging ke liye (for new bloggers)

HeY BloggErs
Jaisa ki mene apni website par last 2 post android se related lagaai h or es baar bhi ye post android se related h
Jab aap apni web pr post karte h to aapko computer ki jarurat to hoti hi h taki aap img upload kar sake ya apni  post publish kar saken lekin ab aap android mobile se bhi blogging kr sakte h agr aap android mobile me blogger ki website open karke post lgayenge to usme aapko bahut si problam hogi or mobile ki screen ka size etna  bhi nahi hota ki aap usme acche se likh sake isliye aap blogger ka android app download karke usme se apni post publish kar sakte wo bhi bilkul easy way me

To chliye sikhten h kaise


Sabse pahle aap apne android mobile ke playstore me jakr blogger ka app download kar len ...
Or usme apni us gmail id se sign in karen jisse aapne blogger par apna account bna rkha h
Ab jaise ki pic me points diye gaye h aap unko follow karen


1.Yahan se aap apne blog ko select kar sakte h jis pr aapko post karni h

2.Es option pr click karne ke baad aap apni site ya blog par new post kar sakte h

3.Es ki help se aap apne kisi bhi blog post par image upload kar sakte h

4.esme aapne aaj tk  ki jitni bhi post ki h wo aap dekh sakte h chahe wo pulish ho ya draft me

5.Esme sirf wahi posts aati h jo aapne publish ki h ya aapke blog visiters ko dikh rahi h

6.esme wo posts aati h jo aapne save kar rakhi h or ye aapke blog pr show nahi hoti h 

Second options


1.Yahan se aap direct apne blog ko dekh sakte h

2.jab aap apne mobile data on  Karte h to aapko page ko refresh karna hota h kyonki ye apne aap nahi hota or aapke changes nahi dikhte h isliye jab bhi aap app ko open karen 5-6 baar refresh jarur karen

3.es option se aap blogger ko apna feedback send kar sakte h

4.esme se aap notification on kar sakte h taki jab aap post publish karen to aapko notification mil sake
Or esme img upload ke option bhi diye hote h jisme aapko apni blog post par jis size ki img upload karni h wo select kar sakte ....

5.agr aapko blogger se koi help chahiye to aap yahan se le sakte h
Agr aapko ye post psand aaye to aap esse share jrur karen .....


Related Posts